Sunday, April 20, 2008

America Hame Bhaa Gaya Hai

America Hame Bhaa Gaya Hai

America hame bhaa gaya hai
Suvidha dekar hame khaa gaya hai...

Bahar kuch bheetar kuch aur hai..
Sab kuch hai par kuch bhi nahi hai..

Dil ki Jagah Internet Bill Ne le liya hai
Chitti Ki Jagah Email Ne le liya hai

Shriman-Shrimati Ke Paas Bangla-Gaadi Hai
Mortgage payment fir bhi sabse bhaari hai

Bachon ko paalna Saral Kaam Nahi hai
Maa busy hai, Isliye Maa ki Maa Yahin hai

Patni Se Jyaada To Sarkaar Ko Pata hai
Credit check mein apka saara itihaas chupa hai

Pharmacy Ki Goli Ya Doctor se ilaaz karwana Hai
Health Insurance Bill sabse pehle Bharna Hai

Bartan Ko Dishwasher Se Mohabbat Ho gayi hai
Kapdon Ko Washer-Dryer ki aadat ho gayi hai

Sunday Ko Roti-Sabzi-Pakwaan Bhool Jayiye
Buffet ki Line mein saparivaar shaamil ho jayiye

Majboori ka aisa daur aa gaya hai..
America dil aur dimaag par chaa gaya hai

Doston, America hame bhaa gaya hai
Suvidha dekar hame khaa gaya hai...

----
[Pravasi- Ras Kavita, by Sailesh Mishra]
[Kavitanjali, Radio Salaam Namaste 104.9 FM]
[Dallas, TX USA]

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home