Monday, April 21, 2008

Agar Din Mein 24 Ghante Hote

Agar Din Mein 24 Ghante Hote
__________________________

Agar Din Mein 24 ghante hote...To...

Log Mujhe Aaraam Se Sone Kyon Nahi dete
Naashte Ke liye 5 min se jyaada kyon nahi hote
Biwi se ghar der aane ka bahana kyon dhoondte
Raat ko sabke saath milkar kyon nahi khaate

Agar Din Mein 24 ghante hote...To...

Log Office time pe kyon nahi pahunchtey
Meetings ke alawa aur kuch kyon nahi hote
Boss ke saamne Internet Surfing kyon karte
Deadline se pehle kaam pura kyon nahi karte

Agar Din Mein 24 ghante hote...To...

Log roz Yoga aur Gym jaane se kyon katraatey
Apnon se jyaada TV aur Computer ke saath kyon bitaate
Maa Bachon Ke Liye babysitter kyon bulaate
Weekend Weekday se bhi adhik busy kyon hote

Agar Din Mein 24 ghante hote...To...

Hai Paisa ! Hai Paisa ! kehte huye sab kyon rotey
Kabhi Chain Ki Saans Kyon Nahi lete
Sirf Apne hi baare mein Kyon Sochte
Jeevan Ka Har Pal Khushi se Kyon Nahi Bitatey

Agar Din Mein 24 ghante hote...To...

Har samay ghadi aur alarm par nirbhar kyon hote
Apne hi bete se milne ka Appointment kyon lete
Red light ke saamne gaadi kyon nahi roktey
Din mein do minute Bhagwan ko yaad kyon nahi karte

Doston, Bahut kuch karna hai din ke 24 ghante mein to ....
Raat Ko Bhi 24 ghante Kyon Nahi hote ????

---

[ Sailesh Mishra, Dallas, TX ]
[ April 20, 2008]

Sunday, April 20, 2008

America Hame Bhaa Gaya Hai

America Hame Bhaa Gaya Hai

America hame bhaa gaya hai
Suvidha dekar hame khaa gaya hai...

Bahar kuch bheetar kuch aur hai..
Sab kuch hai par kuch bhi nahi hai..

Dil ki Jagah Internet Bill Ne le liya hai
Chitti Ki Jagah Email Ne le liya hai

Shriman-Shrimati Ke Paas Bangla-Gaadi Hai
Mortgage payment fir bhi sabse bhaari hai

Bachon ko paalna Saral Kaam Nahi hai
Maa busy hai, Isliye Maa ki Maa Yahin hai

Patni Se Jyaada To Sarkaar Ko Pata hai
Credit check mein apka saara itihaas chupa hai

Pharmacy Ki Goli Ya Doctor se ilaaz karwana Hai
Health Insurance Bill sabse pehle Bharna Hai

Bartan Ko Dishwasher Se Mohabbat Ho gayi hai
Kapdon Ko Washer-Dryer ki aadat ho gayi hai

Sunday Ko Roti-Sabzi-Pakwaan Bhool Jayiye
Buffet ki Line mein saparivaar shaamil ho jayiye

Majboori ka aisa daur aa gaya hai..
America dil aur dimaag par chaa gaya hai

Doston, America hame bhaa gaya hai
Suvidha dekar hame khaa gaya hai...

----
[Pravasi- Ras Kavita, by Sailesh Mishra]
[Kavitanjali, Radio Salaam Namaste 104.9 FM]
[Dallas, TX USA]